Spread the love

 

Toyota Corolla 2027 Price in Pakistan

Mere mohalle me rehta hai Kashif Ali Abbasi Bhai. Umer hogi takreeban 35 saal. Pehle wo Mehran chalata tha. Phir us ne mehnat kar ke Alto le li. Ab pichle 3 saal se wo kehta tha, yaar ek din Corolla lunga. Log hanste thay, kehte thay kashif, Corolla to bare logon ki gari hai, tu kahan lega.

 

Lekin kashif Bhai ne haar nahi mani. Us ne subah ko ek dukaan par kaam kiya, shaam ko Foodpanda chalaya. Biwi ne bhi ghar me kapre seenay shuru kar diye. Thora thora paisa jama karte rahe. Ab jab un ko pata chala ke Corolla 2027 ka naya model aa raha hai, to kashif Bhai ne apni biwi se kaha, bas ab waqt aa gaya hai.

 

Kal hi kashif Bhai mere paas aaya, bola bhai, main ne Toyota ke showroom ja kar pooch liya hai. Corolla 2027 June me aa rahi hai. Us ne mujhe sari baat batai, main socha aap sab ko bhi bata dun, kyun ke mere jaise lakhon log hain jo Corolla lene ka khuwab dekhte hain kashif  Bhai ne bataya ke nayi Corolla pehli wali jaisi nahi hai. Pehli wali to seedhi saadhi thi. Ye wali to dekhne me bilkul bari gari lagti hai. Aage se bilkul Camry jaisi. Lights bari bari, neeche din me bhi jalne wali light. Peeche se bhi full naya design.

 

Us ne mujhe mobile me tasveer dikhai. Sach bataun  dekh kar dil khush ho gaya. Us me sunroof bhi hai. Pehle Corolla me sunroof kabhi nahi aaya tha. Ab is me sunroof aa gaya hai. Kashif Bhai ke bache to sun kar hi khush ho gaye, ke abbu sunroof wali gari la rahe hain.

 

Andar se bhi gari kaafi achi hai. Kashif Bhai kehta hai, bhai andar betho to lagta hai kisi mehengi gari me bethay ho. Seat naram, bara screen laga hua. Us screen par mobile bhi chalta hai. Gaane bhi, map bhi. Peeche bethne ki jagah bhi zyada hai. Us ka abbu jo lamba hai, wo bhi aaram se beth jayega.

 

Ab baat aati hai qeemat ki. Yehi sun kar aadmi ka dil thora ghabrata hai. Kashif Bhai ne bataya ke showroom wale ne 4 qeemat batayi hain.

 

Sab se sasti wali XLI, wo takreeban 64 lakh 50 hazar ki hai. Wo manual wali hai. Matlab gear hath se lagana parega. Lekin Kashif Bhai kehta hai, mere liye wohi theek hai, mujhe to manual ki aadat hai.

 

Doosri wali Altis hai, wo 72 lakh 50 hazar ki hai. Us me automatic gear hai, back camera hai, alloy rim hain.

 

Teesri wali Grande hai, wo 81 lakh 50 hazar ki hai. Us me sunroof, chamre wali seat, sab kuch hai.

 

Aur chauthi wali Hybrid hai, wo 98 lakh 50 hazar ki hai. Wo petrol ke saath bijli par bhi chalti hai. Kashif Bhai kehta hai, bhai Hybrid to sapna hai, wo 1 liter me 22-25 KM chalti hai. Karachi se Hyderabad tak sirf 1500 ke petrol me. Lekin qeemat sun kar hi haath pair thande ho jate hain.

 

Maine  Kashif Bhai se poocha, bhai itne paise kahan se laoge? Wo hans para. Bola, bhai maine 3 saal se paisa jama kiya hai. Kuch paisa mere paas hai, kuch Alto bech kar aayega, aur baaki bank se qist par lunga. Bank wale kehte hain, mahine ki 95 hazar qist banegi. Thora mushkil hoga, lekin ho jayega. Biwi bhi saath de rahi hai.

 

Yehi to aam bandy ki kahani hai  Koi ameer baap ka beta nahi hai kashif Bhai. Mehnat kar ke le raha hai. Us ka kehna hai, bhai gari sirf dikhawe ke liye nahi le raha. Meri ammi beemar rehti hain, un ko hospital le jana hota hai. Bachon ko school chorna hota hai. Garmi me bike par bache jal jate hain. Is liye Corolla le raha hun ke ghar wale aaram se jayen.

 

Kashif Bhai ne ye bhi bataya ke showroom wale ne kaha hai, booking March me shuru hogi. Booking ke liye 10 lakh dena hoga. Gari June me milegi. Lekin agar der ki, to 5-6 mahine late bhi ho sakti hai. Is liye jo lena chahta hai, wo pehle se paisa jama kar le.

 

Maine us se poocha, bhai Civic kyun nahi le lete? Wo to aur achi lagti hai. Kashif Bhai bola, bhai Civic achi hai, lekin us ke parts mehenge hain. Karachi ki tooti sarak par Civic neeche lagti hai. Corolla unchi hai, mazboot hai. Aur jab bechni ho, to Corolla ka paisa wapas mil jata hai. Civic ka paisa toot jata hai. Is liye mohalle me sab Corolla hi lete hain.

 

Ye baat to sahi hai Mere mohalle me 10 gariyan hain, us me se 7 Corolla hi hain. Ek bandy ne Kia Sportage li thi, ab wo pachta raha hai ke bechne par 10 lakh ka nuqsan ho raha hai.

 

Ab ek aur baat jo Kashif Bhai ne batayi, wo sun kar main bhi hairan ho gaya. Us ne kaha, bhai nayi Corolla me 6 airbag hain. Pehle sirf 2 hote thay. Ab Allah na kare agar hadsa ho bhi jaye, to ghar wale mehfooz rahenge. Aur us me 360 camera hai. Matlab gari park karte waqt charon taraf dikhega. Mere jaise naye driver ke liye to ye bohat achi cheez hai.

 

Aur bhai, us me button wala start hai. Chabi ghumane ka jhanjhat khatam. Mobile bhi baghair taar ke charge ho jayega. Itni cheezen sun kar to mujhe bhi dil karne laga ke main bhi Corolla le lun. Lekin jeb dekh kar phir chup ho gaya.

 

Kashif Bhai ne aakhri me ek achi baat kahi. Us ne kaha, bhai log kehte hain Corolla mehengi hai. Lekin main kehta hun, mehnat karo, thora thora jama karo, ek din aa jata hai. Maine bhi Mehran se shuru kiya tha. Aaj Corolla tak aa gaya hun. Kal ko mere bache is se bhi aage jayenge.

 

Us ki baat sun kar mujhe laga, yehi to asli kahani hai. Ye AI wali kitabi baaten nahi hain. Ye hamari gali, hamare mohalle ki kahani hai. Har doosre ghar me ek Kashif Bhai hai jo Corolla ka khuwab dekhta hai.

 

To  agar aap bhi kashif Bhai ki tarah Corolla 2027 lena chahte hain, to abhi se tayyari kar lein. Thora thora paisa jama karen. Alto ya Mehran hai to us ko achi halat me rakhen taake bechne par acha paisa mile. Bank se baat kar lein ke qist kitni banegi. Aur March me booking ke liye tayyar rahen.

 

Aur haan, jab bhi showroom jayen, to apna CNIC zaroor le kar jayen. Aur kisi dalal ke chakkar me na paren. Seedha showroom jayen. Toyota ke Karachi me 3 bare showroom hain. Toyota Central, Toyota Eastern aur Toyota Jinnah. Wahan se hi booking karwayen.

 

Kashif Bhai ne to apni booking ke liye paisa jama karna shuru kar diya hai. Us ka kehna hai, June me jab nayi Corolla gali me aayegi, to poora mohalla dekhne aayega. Us din wo apni ammi ko pehle us me bithayega, phir masjid tak le jayega.

 

aap bhi batao, aap ka kya irada hai? Aap ko Corolla 2027 kaisi lagi ?  XLI loge ya Hybrid loge  Neeche comment me zaroor batana. Aur is kahani ko apne us dost ko bhejo jo har waqt Corolla ki baat karta hai.

 

Allah sab ke khuwab poore kare. Ameen.

 

Mazeed aisi sachi kahaniyon ke liye rozana visit karen http://www.sindhnewsalert.com.