Shahrah-e-Faisal Traffic Jam Karachi ka sab se bara masla ban gaya hai.
Karachi ko roshniyon ka sheher kehte hain lekin ab is ko traffic jam ka sheher kehna ziyada behtar hoga Aur agar Karachi me traffic jam ki baat ho to Shahrah-e-Faisal ka naam sab se pehle aata hai Ye road Karachi ki sab se bari, sab se ahem road hai lekin ab ye road sab se bari pareshani ban gayi hai .
Subah 8 baje se le kar raat 11 baje tak is road pe har waqt rush hota hai Kabhi kabhi to aisa lagta hai ke poora Karachi isi road pe aa gaya hai .
Shahrah-e-Faisal Hai Kya Shahrah-e-Faisal Karachi ki shahrag hai Ye road Airport se shuru hoti hai aur Tower tak jaati hai Beech me is pe Drigh Road, Shah Faisal Colony, Baloch Colony, PECHS, FTC, Metropole, sab aata hai Is road ke dono taraf bade bade daftar hain companies hain banks hain shopping centers hain Isi wajah se har banda isi road ko use karta hai .
Jis ko Airport jana hai wo bhi isi road se jayega Jis ko Saddar jana hai wo bhi yahan se jayega Jis ko Clifton, Defence jana hai us ka rasta bhi yahan se nikalta hai To rush to hona hi hai
Subah Ka Manzar
subah ka time sab se khatarnak hota hai 7:30 baje ke baad Baloch Colony pul se le kar FTC pul tak gaariyan hi gaariyan hoti hain Office jane wale log school jane wale bache sab ek saath nikalte hain
ek dafa agar aap 8:15 pe Shahrah-e-Faisal pe phas gaye to samjho 45 minute to kahin nahi gaye Gaari aik inch bhi aage nahi jaati Bike wale idhar udhar se nikalne ki koshish karte hain lekin car wale bechare phanse rehte hain Garmi me to AC bhi jawab de jata hai petrol bhi khatam hota hai .
Bohat se log is wajah se rozana late hote hain b ka daant sunte hain tankhah kat jaati hai Lekin kya karein road hi aisi hai .
Shaam Ka Haal To Aur Bura Hai
agar subah buri hai to shaam us se bhi ziyada buri hai Shaam 5 baje ke baad jab daftar khatam hote hain to Shahrah-e-Faisal pe qayamat aa jaati hai . FTC se le kar Drigh Road tak 2 ghante ka jam lagta hai .
Kabhi kabhi to 6 baje ka nikla hua banda 9 baje ghar pohunchta hai Banda thak haar ke ghar jaata hai ghar walon se baat karne ka dil bhi nahi karta .
Aur agar barish ho jaye to phir to Allah hi hafiz hai Shahrah-e-Faisal pe thora sa paani khara hota hai aur poori road band ho jaati hai Gaariyan band ho jaati hain bike wale dhakka laga rahe hote hain .
Traffic Jam Ki Waja Kya Hai ?
ek waja nahi hai , bohat saari waja hain .
Pehli waja gaariyan bohat ziyada ho gayi hainb Har ghar me 2-3 gaariyan hain har bande ke paas bike hai Road wohi purani hai 20 saal pehle wali lekin gaariyan 10 guna ziyada ho gayi hain .
Dusri waja signal kharab hote hain Kabhi light hi nahi jal rahi hoti kabhi traffic police wala hi nahi hota Jis ka dil jahan chaahe gaari ghusa deta hai
Teesri waja galat parking Shahrah-e-Faisal pe bade bade showrooms hain dukaanen hain Log gaari road pe khari kar ke chale jaate hain Ek lane to waise hi band ho jaati hai .
Chauthi waja bus aur rickshaw wale Ye log beech road me gaari rok dete hain sawari utaarne chadhaane ke liye Peeche poori line lag jaati hai in ko koi parwah nahi .
Paanchwi waja construction Har waqt kahin na kahin khudai ho rahi hoti hai pul ban raha hota hai road toot jaati hai .
Aam Aadmi Ko Kya Nuqsan Hota Hai ?
Boss nuqsan to bohat hai Sab se pehle time ka nuqsan Karachi ka banda din ke 3-4 ghante sirf traffic jam me zaya kar deta hai Ye time agar kaam me lage to kitna faida ho
Dusra b petrol ka nuqsan Gaari jam me khari khari petrol peeti rehti hai Bike ho ya car ho petrol to jal raha hai Mehengai ke is daur me ye bohat bara nuqsan hai .
Teesra sehat ka nuqsan Garmi me, dhuwan me, horn ki awaz me banda bimaar ho jaata hai Sir me dard blood pressure sab isi traffic ki wajah se hai .
Chautha zeeni pareshani Banda ghar se fresh nikalta hai aur jam me phas ke thak jaata hai Kaam pe dil nahi lagta ghar me jhagra hota hai
Hal Kya Hai ?
hal mushkil nahi hai bas karna chaahe to sab ho sakta hai .
Pehla hal public transport behtar karein Agar Green Bus, Red Bus aur train time pe chale saaf suthri ho to log apni gaari kam nikalenge Ek bus me 50 bande ja sakte hain to 50 gaariyan kam ho jayengi .
Dusra hal traffic police sakhti kare Jo galat parking kare us ka challan ho Jo signal tore bo us ko pakrein Jab tak dar nahi hoga log nahi sudhrenge .
Teesra hal office timing alag alag ho Sab daftar 9 baje shuru na hon Kuch 8 baje, kuch 10 baje, kuch 11 baje shuru hon to rush ek saath nahi hoga
Chautha hal alternative roads banayein Shahrah-e-Faisal ka bojh kam karne ke liye dosri roads ko behtar karna hoga Rashid Minhas Road, Korangi Road in ko khula karein
Paanchwa hal hum khud bhi sudhrey Hum bhi to gaari idhar udhar ghusa dete hain galat U-turn le lete hain bike ko footpath pe chadha dete hain Agar hum qanoon ka khayal rakhein to jam aadha kam ho jayega .
Aakhir Me .
baat seedhi hai Shahrah-e-Faisal Karachi ka dil hai Agar ye road jam rahegi to poora Karachi jam rahega Hukumat ko bhi sochna chaahe aur hum logon ko bhi apna kirdar ada karna chaahe .
Karachi ke log mehnati hain bahadur hain Wo rozana is traffic jam ka muqabla kar ke kaam pe jaate hain Is liye is masle ko hal karna bohat zaroori hai taake aam banday ki zindagi aasaan ho sake .
ye traffic jam sirf gaariyon ka jam nahi hai ye zindagiyon ka jam hai ye waqt ka jam hai Is ko kholna hoga warna Karachi aise hi phansa rahega .
