Spread the love

5KW Solar System Price in Pakistan 2026 me kya hai? Aaj is ka poora hisab batata hun.

Bhai log poochte rehte hain ke yar 5KW solar lagwana hai, kitna kharcha aayega? To aaj me aap ko seedha seedha hisab bata deta hun, koi lambi chori baat nahi karunga.

 

Dekho bhai, agar aap ke ghar ka bill 25 hazar se 35 hazar tak aata hai na, to 5KW aap ke liye bilkul perfect hai. Na is se chota lagwana, na bara. Chota lagwaoge to pachtaoge, bara lagwaoge to paise zaya honge.

 

Ab sawal ye hai ke 5KW pe chalega kya?

 

Bhai is pe sab kuch chal jayega. Din me 2 AC chala lo, 1.5 ton wale. Us ke saath fridge bhi chal raha hoga, pankhe bhi, lightain bhi, washing machine bhi chala lo, motor bhi chala lo. Koi tension nahi hai. Garmi me to maza hi aa jata hai, AC free me chalta hai, bill ki tension khatam.

 

Ab aate hain paiso pe. Bhai sab se pehle panel.

 

Panel ka hisab:

 

5KW ke liye 10 panel lagenge. Aaj kal acha panel 28, 30 rupay watt pe mil raha hai. To 10 panel ka karo to 1 lakh 70 hazar se 1 lakh 90 hazar tak ban jata hai. Dekho panel me kanjoosi mat karna. Jinko, Longi ya Canadian le lena. Sasta panel loge to 2 saal baad ro ge. Bijli bhi kam banayega.

 

Inverter ka hisab:

 

Bhai inverter hi asal cheez hai. Is me hi sara khel hai.

 

2 tarah ke inverter hote hain Pakistan me.

 

Ek hota hai sasta wala, On-Grid wala. Wo 1 lakh 50 hazar ka mil jata hai. Lekin us me masla ye hai ke light jayegi to wo bhi band ho jayega. Aur battery bhi nahi lagti us pe.

 

Dusra hota hai Hybrid wala. Jaise Inverex Nitrox 5KW wala. Wo 3 lakh 50 hazar ka hai. Mehenga zaroor hai, lekin cheez bhi wahi hai. Light jaye to bhi ghar chalta rehta hai, battery bhi lag jati hai.

 

Meri mano to Hybrid hi lena. Sasta leke baad me pachtaoge, phir dobara kharcha karna parega.

 

Battery lagani hai ya nahi?

 

Bhai ye sab se zyada poocha jane wala sawal hai. Suno, battery ke baghair bhi kaam chal jayega. Raat ko light hogi to WAPDA se chal jayegi.

 

Lithium wali battery jo hai na 5.12 wali, wo 3 lakh 80 hazar ki hai. Bara mehenga soda hai. Lekin chalti bhi 10 saal hai.

 

Agar paise kam hain to mera mashwara ye hai ke pehle battery mat lo. Pehle panel aur inverter acha lagwa lo. Battery baad me jab paise aa jayen tab laga lena. System aise bhi chal jayega.

 

Stand aur taar waghera:

 

Bhai is ka bhi 80 hazar se 1 lakh tak lag jata hai. Lohe ka stand, taaren, lagane wale ka kharcha, sab mila ke. Agar chhat bari hai to thora kam lag jayega. Chhat choti hai to ooncha stand lagana parega, wo thora mehenga par jayega.

 

Ab total jor lo:

 

Baghair battery ke: 6 lakh 30 hazar tak kaam ho jayega.

Battery ke saath: 10 lakh 30 hazar tak chala jayega.

 

Yehi waja hai ke log Google pe 5KW Solar System Price in Pakistan likh ke dhoondte hain.

Bill kitna kam hoga?

 

Bhai 5KW din me 22, 25 unit bana deta hai. Mahine ka 700 unit tak ban jata hai. Agar tumhara bill 30 hazar aata tha na, to ab 1500, 2000 tak aa jayega. Sirf thora sa tax dena parega.

 

Aur ek kaam zaroor karna, Net Metering karwa lena. Us ka 1 lakh 20 hazar lagta hai. Us se faida ye hoga ke din ki extra bijli WAPDA ko chali jayegi, raat ko wapis mil jayegi. Boht faida hai is ka.

 

Paise kab wapis aayenge?

 

Dekho bhai, agar tum ne 6 lakh 30 hazar lagaya aur mahine ka 28 hazar bachaya, to 2 saal me paise wapis. 2 saal ke baad 23 saal tak free bijli hai. Panel 25 saal chalta hai. Is se acha soda aur kya hoga?

 

Aik baat yaad rakhna, dealer se hoshiyar rehna.

 

Ek dealer se rate leke mat lagwa lena. 2-3 se rate lo. Panel ka QR code scan karke check karo. Aur inverter ka warranty card zaroor lena, zubani baat pe mat aana. Aaj kal nakli maal boht aa raha hai.

 

Log poochte hain, 5KW pe 2 AC chalenge? Bhai chalenge, aram se chalenge.

 

Barish me chalega? Chalega, thora kam banayega lekin chalega.

 

Kitni jagah chahiye? Chhat pe 350, 400 foot jagah honi chahiye bas.

 

Bass bhai, yehi hisab hai. Abhi rate kam hain, 2 saal pehle yehi system 15 lakh ka tha, ab 6 lakh ka hai. Lagwana hai to abhi lagwa lo, baad me rate phir upar chale jayenge.

Karachi, Lahore, Islamabad Me Rate Ka Farq Hai?

 

Bhai ye bhi boht log poochte hain. Dekho rate har sheher me thora thora farq hota hai.

 

Karachi me rate thora kam hota hai, kyunke wahan maal zyada aata hai, dealer bhi zyada hain. Lahore me bhi takreeban wahi rate hai. Islamabad me thora mehenga par jata hai, 20-30 hazar upar neeche ho jata hai.

 

Aur agar aap chote sheher me ho, jaise Hyderabad, Multan, Faisalabad, to wahan lagwane wala mehenga par jayega, kyunke bara dealer wahan nahi hota. Wo Karachi se maal mangwata hai, us ka kiraya bhi aap se hi lega.

 

Is liye mera mashwara ye hai ke apne sheher ke 2-3 bandon se rate zaroor lo. Sirf ek bande ke peeche mat lag jana.

 

Net Metering Karwani Chahiye Ya Nahi?

 

Bhai agar paise hain to zaroor karwa lo. Me to kehta hun karwa lo.

 

Is ka faida ye hai ke din ko jo extra bijli banegi na, wo WAPDA ko chali jayegi. Raat ko jab solar band hoga to wo wali bijli wapis mil jayegi. Bill to takreeban khatam hi ho jayega.

 

Haan, is ka kharcha alag se 1 lakh 20 hazar tak aa jata hai. File banti hai, meter lagta hai, thora bhag dorr bhi hai. Lekin ek dafa lag gaya to sakoon hai. Boht se log kehte hain ke yar net metering me time lagta hai, 2 mahine lag jate hain. Haan lag jate hain, lekin lag jati hai.

 

Agar aap ne net metering nahi karwani to bhi koi masla nahi, system aise bhi chalega. Bas raat ko WAPDA ki bijli use hogi.

 

Light Jane Pe Kya Hoga?

 

Dekho bhai, agar tum ne Hybrid system lagwaya hai aur battery bhi lagai hai to light jane pe pata bhi nahi chalega. Ghar chalta rahega.

 

Agar battery nahi lagai, sirf Hybrid lagaya hai to bhi din me light jane pe ghar chal jayega, kyunke solar se chalega. Raat ko light jayegi to phir ghar band ho jayega, kyunke battery nahi hai na.

 

Aur agar tum ne sasta wala On-Grid lagaya hai to light jate hi wo bhi band ho jayega. Is liye me kehta hun On-Grid mat lena. Thore paise bacha ke phir sara din light ka rona rote rahoge.

 

Log Sab Se Bari Ghalti Kya Karte Hain?

 

Bhai sab se bari ghalti ye karte hain ke sasta dekh ke lagwa lete hain. Koi kehta hai me 4 lakh me laga dunga, to log us ke peeche bhag jate hain. Phir baad me pata chalta hai ke panel nakli hai, inverter 2 number hai.

 

Dusri ghalti ye hai ke taar halki lagwa lete hain. Bhai taar pe kanjoosi mat karna. Taar halki hogi to bijli kam aayegi, taar garam hogi, aag bhi lag sakti hai.

 

Teesri ghalti ye hai ke chhat pe panel aise hi rakh dete hain, saaf nahi karte. Bhai hafte me ek dafa panel pe paani maar diya karo. Mitti jam jayegi to bijli kam banegi. Ye chota sa kaam hai lekin boht faida hai.

 

5KW Lagwane Se Pehle Ye 3 Kaam Zaroor Karna

 

Pehla, apni chhat dekh lo, jagah hai ya nahi. 350 foot jagah chahiye. Agar chhat pe tanki lagi hui hai, to us ko side pe karwana parega.

 

Dusra, apna purana bill dekh lo. Agar bill 15 hazar aata hai to 5KW mat lagwana, 3KW lagwa lo. 5KW un ke liye hai jin ka bill 25 hazar se upar hai.

 

Teesra, dealer se likh ke lo ke kitne saal warranty hai. Zubani mat aana. Kaghaz pe likhwa lo.

 

Mera Apna Mashwara

 

Bhai agar mujh se poocho to me ye kahunga ke agar paise hain to abhi lagwa lo. Rate abhi neeche hain. Pehle 15 lakh ka tha, ab 6 lakh ka hai. Pata nahi agle saal kya rate ho.

 

Aur ek baat, udhar pe mat lagwana. Koi kehta hai kiston pe laga dunga, to us me rate double kar deta hai. Agar paise pure nahi hain to thora sabar kar lo, paise jor lo, phir lagwa lo. Lekin udhar wala chakkar me mat parna.

 

Bass bhai, ab to poora hisab samajh aa gaya hoga. Koi baat samajh na aayi ho to comment me pooch lena, me jawab de dunga.